Showing posts with label BLOGGER. Show all posts
Showing posts with label BLOGGER. Show all posts

Online Blog Post Title(Topic) Generate Kaise Kare - Use Hubspot's Blog Topic Generator ?

Hello blogger aap sabhi bhi banayi, post bhi publish kiye or Unse hame treffic bhi mila or logo ne unhe passand bhi kiya ye sab baate hamare sath huee hogi. Apne social media par post share kiye hoge. or unse sashi treffic mila hoga. Lekin aap to jante hoge ki hame agar jayada treffic chahiye to hame quality content likhne hoge.

hubspot topic generator ko use kaise kare.jpeg



Ye sab baate aap jante hoge or kafi had tak follow bhi ki hogi.Aapne high keyword find karne ke liye Aapne google adword ketword planner tool ko bhi use kiya hoga or aapne keyword reasearch karke  Apne high keyword post me use kiye hoge. Lekin aapko ye jaanna bahut jaroori hai ki agar sirf high keyword post me use karne se Post ki rank badti hai to aap galat hai. High keyword se apke post ki rank nahi padti highkeyword se sirf post keyword ki cpc padti hai or use search engine me baar baar search karne se oh high keyword ban jata hai. Ise post me use karne se hamare post ko serch engine me serach rank me profit to hota hai magar tabhi jab aap apne post ko full seo redy bana de.

Agar blog post me high keyword use karne se. hamare post achhi rank par ate hai to aaj sabhi blogger Top par hote. High keyword hi sab kuch nahi hota hai. Agar hame apne post ko top par lana hai to hame high keyword ke sath sath apne post par bhi dhayan dena padega. Hame post likhte time post poora dhayan dena padega.

Agar hame organic treffic chahiye to hame apne post title or headings ko seo redy banana padega. Jaise ek high keyword hamari post ki cpc padata hai theek bese hi hamara ek post title or headings post ki search quality badati hai. Hame yesha post title chunna hota hai. Jise user jayada passand karte hai or serch engine me jayada serch karte ho. Ab ham koyi google to hai nahi ki ham sab pata ho ki search engine me user kaise kaise title search karte hai. Lekin hamare ek or rasta hai internet par kuch yesi site hai jo online Blog Topic Generat karte hai. Ham inki help se apne post ke liye achhe se achhe title serch kar sakte hai.

Online Blog Topic Generator Kya Hai - Hubspot's Blog Topic Generator Kya Hai 

Hubspot's ek online topic generator hai. hame ye kuch hi second me apne blog se related keyword enter karne par Sabse best title headings generat kar deta hai. Lekin yah hindi topic par Tilte headings creat nahi karta hai. Lekin apko heran hone ki baat nahi hai. Hame isse post title headings english me jaroor creat karna hai par ham english hindi me translate karke apne blog post me use kar sakte hai.
Iskeliye hame google translate ki help le sakte hai or english se hindi me translate kar sakte hai.

 Online Blog Post Title(Topic) Generate Kaise Kare - Use Hubspot's Blog Topic Generator ?  

Me uper apko bata chuka hu ki hubspot's se title headings creat kis prakar ki kar sakte hai. Isse post title or headings creat karna bahut hi asaan hai. Hame isme apne blog topic se related 3 keyword enter karne hai. Or hubspots apko kuch hi second me topic generat kardeta hai.Topic generay karne ke liye neeche diye hue step follow kare.

How To Use Hubspot's Blog Topic Generator  

Sabse pahle aap hubspot'com par jaye phir baha neeche apne post se related title ke apne soche anusar keyword enter kare. Apko isme 3 jagah par keyword enter karne hai. isliye aapne jo pahle title heading chunni hai hai usme se apko main keyword enter karnna hai. agar aap chahe to google adword keyword tool se keyword research karke enter kare.
give me blog topic.jpeg
  • Pahle me apko apne post se related pahla keyword enter karna hai.
  • Doosre me apko doosra keyword enter karna hai.
  • Teesre me bhi apko ek post title se related keyword enter karna hai
  • Phir aap Give ME Blog Topic  Par Click Kar de
Aap uper dee hue process se Apne blog ke liye topic generat kar sakte hai. Jab Give me Blog Topics par click karege to apke samne kuchh is prakar ki screen show hoge. Aap ko jo post title heading passand hogi usse choose kar ke post me use kar sakte hai.
select topic generator.jpeg
Aap ise english me use karna chahe english me kare nahi to ise google translate se english se hindi me translate kar sakte hai. Agar aap blog ke liye headings search kar rahe hai to aap isme heading jaise keyword search kare.

Final Words :

Aap agar uper dihuee process se topic search karoge to aap jaroor achhe se achhe topic generat kar sakte hai. me bhi topic generat karne ke liye ise hi use karta hu or mujhe asha hai ki apko bhi fayedemand sabut hoga. Mujhe asha hai ki hamara ye post apko passand aya hoga. agar apko koyi problem aye to neeche comment karke jaroor bataye. 

Mobile Se Blogging Karne Ke Liye - 15 Jaroori Apps

Hello bloggers kya aap bhi mobile se blogging kar rahe hai. Ya aap apne mobile blogging life ko achhe se achha banana chahte hai to post ko full read kare. ap sabhi to jante hi hoge ki aaj ke time me sabhi paisa kamana chahte hai. Sabhi ka ye sabse bada dream hai ki internet se paise kamaye. Kyoki sabhi chahte hai ki unhe mahnat na karni  padi or paise bhi kama sake. Lekin bo ye nahi sochte hai ki blogging is not easy. Blogging is very hard work only. Sabhi jante hai ki blogging se paise kama sakte hai. Blogging karna jayada kathin kaam nahi hai lekin mahnat karni padti hai. Sabhi blogger aaj mobile computer se blogging kar rahe hai. Kuch blogger mobile se blogging kar rahe hai. Agar aap bhi mobile se blogging kar rahe hai to aap ye janna bahut jaroori hai ki mobail se blogging karne ke liye aapko kon kon mobail apps ki jaroorat padegi. Apko me sabhi apps bataunga ki jise aap blogging karte time use kar sakege. Agar aap chahte hai ki aap mobile se better blogging kare to aapko blogging ke apps use karne padege.
Mobile-se-blogging-karne-ke-liye-kuchh-jaroori-apps

Aaj ke time bahut saare blogger mobile se blogging kar rahe or bo computer blogger se achhi blogging kar rahe hai.
Agar hindi blogger ki baat kare to 100 me se 40% blogger mobile se blogging kar rahe hai. Agar aap bhi mobile blogging kar rahe hai to aaj ka ye post mobile se blogging karne ke liye kuchh jaroori apps aapke liye bahut helpfull joga. Agar aap chahte hai ki aap mobile blogging karte hue bhi achhi blogging kare to neche ka full post read kare or like share or comment jaroor kare.

Mobile Se Blogging Karne Ke Liye 15 Jaroori mobile Apps.

Mobile blogging karna koyi muskil kaam nahi hai lekin kuchh baate mobile blogger ke liye sir dard hai. Kyoki mobile kuchh site ko support nahi karta jo computer karta hai. Jaise ki google adwords keyword planner tool ye bo tool hai jisse ham apne blog post ke liye keyword search karte hai or post me seo ke liye use karte hai. Agar hame is tool ko use karna hai to hame yesha mobile apps use karna hoga jiska look pc browser ki trah ho or pc jaise tool ho. Ham yese hi browser ki baat karege or sabse badi problem hame mobile photo edit karne me ho ti hai. Kyoki computer ke liye bahut se softwer mozood hai. Jaise ki photoshop lekin mobail ke liye yesha softwer nahi hai. Dont wary me apki poori help karoonga.  Me mobile blogger liye bahut saare apps ke baare me bataunga.

1. Google Chrome Browser Mobile Apps.

Agar aap mobile blogger hai. Agar aap mobile se blogging karna chahta hai or apne blog par post likhna chahte hai to apko mobile se post likhne ke liye google chrome browser ko use karna hoga. Isse aap asani se apne mobile post likh sakege. Isme bese hi feture hai jaise computer par hote hai. Or agar aap apne blog ko design or edit customize karna chahte hai to aap isse asani se kar sakte hai.
Download now

2. Puffin Web Browser.

Puffin web browser ab tak no 1 internet fast browser hai. Agar aap chahte hai ki aapki blogging ka work fast or assan ho to aapko puffin web browser ko use karna na bhoole. Agar aap mobile me google adword keyword planner tool ko use karna chahte hai to aap isse kar sakte hao. Agar aap chahte hai ki aap apbe mobile par computer ka maza le to aap ise use kare kyoki isme computer jaise tool or look hai. Aap chahe to isse post likh sakte hai. No problem.
Download now

3. Pics art : Photo editer Mobile Apps.

Ye to aap jante hi hoge ki blog post me ek image 3000 word ke bara bar hai. Agar ham posr me image use nahi kar rahe hai to uska seedha asar hamare seo par padega or agar ham post me kharab design ki image use kar rahe hai to iska efect hamare visiter par padega jisse hame achha treffic nahi milega. Kyoki hamare post ki jaan hi images ho ti hai agar bo hi achhe se design nahi hoto to visiter par efect padega hi. Agar aap computer se blogging karte hai to aapko bahut saare softwer mil jayege photo edit karne ke liye. Agar aap mobile blogger hai or mobile se blogging karte hai to pic art sabse best hai isme bahut saare feture hai. Example-
  • Apni alag photo design karne ke liye drawing tool.
  • Kisi or phito ko edit karne ke liye phito edit tool.
  • Photo ka background change karne ke liye tool.
  • Photo par text add karne ke liye 3D text tool.
  • Text ka style change karne ke liye many font familes.
  • Image ko crope karne ka tool.
  • Image par in border or out border lagane ka tool.
  • Image ki quality chenge karne ke liye many efect.
  • Image par icon lagane ke tool.
  • Image par doosre photo add karne ka tool.
  • Image ko png.jpeg.gif formate me save karne ka tool.
  • Imags par earo lagane ka tool
Agar baat kare to ye photo shop ke takker ka apps hai. Yesha koyi bhi mobile blogger nahi hoga jo pic art ko use nahi karta hoga. Pic art is best photo editer apps for photo editing. Aap isse kayo prakar ki photo edit or create kar sakte hai.
Download now

4.PicSay Pro : Fast Photo editing Mobile Apps.

Agar aap chahte hai ki mobile se apne blog post me liye fast photo edit kare to aap picsay pro ka proyog kare. Isme bahut saare simple tool hai. Jisse aap asani se jayada time na kharab karke post ke liye photo edit karna chahte hato pic say better hai.
Download now

5.Screen Shot Maker : Mobile Apps.

Har mobile blogger ko apne blog post ke liye screen shot lene ki jadoorat padti hai. Kabhi ham agar ham kuch sekhane ka post likh rahe hai to usme hame screen shot lene ki jaroorat padegi jo har mobile me tool nahi hota hai screent shot lene ka to iske liye ham screenshot apps ko use karte hai. Isme bahut saare tool hote hai. Isme asaani se screent shot le sakte hai. Isme kamal ki baat to ye hai ki hame jitne size ka screent shot lena ham use select kar sakte hai or us par earo or text daal sakte hai.
Aap ise asani se google play store se download kar sakte hai. Or apne mobile me screent shot ke liye use kar sakte hai. Mene use kiya bo aapko bataya hai. Play store par apko bahut saare apps miljayege mobil se screen shit lene ke liye.

6.Blogger.com offecial Mobile Apps.

Aap to jante hi hoge sabhi offecial sites ke mobile aap hote hai. Theek bese hi blogger.com ka offecial aap hai. Ye bhi aapke liye use full sawait ho sakta hai. Isme theek bese hi tool hote hai jaise browser par blogger site ko open karne par hote hai.

Blogger ka ye offecial aaps ko aap chahe to instell nahi kare kyoki itna kaam to hamare browser bhi kar dete hai. Agar aapko lage ki ye usefull hoga to aap ise instell kar le bura bhi nahi hai. Jitna ho sake isse ye utna work karega.

7.Google Drive :

Aapko agar apki koyi man passand cheej ko aap sef rakhna chahte hai to aap google drive ko use kijiye. Agar apki blog ke post content file ko safe rakhna chahte hai to aap google drive par upload kijiye. Iske liye google aapke file docoment etc. Ko upload karne ke liye enuf stroge deta hai.
Aap simple yisko google playstore se download karke mobile me use kar sakte hai. Aako isko chalane ke liye isme acount banana hoga jiske liye aap simple apni gmail id se login kar sakte hai. Or apna data jo chahe is par upload kar sakte hai. Ye google ki traf se free service hai. Iske aapko ek bhi paisa nahi dena padega.
click to download

8.Pixabay The Photo Downloading Apps.

Aapko post ke liye photo ki jaroorat to padegi hi. Iskeliye pixabay mobile app jisse aap fast apni post ke liye photo download kar payege. Kyoki agar ham browser me jakar site ko search karege tab tak bahut time lag jayega iskeliye pixabay ka mobile app bahut hi sandar hai aapke liye.
Aap ise uper download botton par click karke play store se assani se download kar sakte hai.
Click hare to download

9.Google Adsense :

Ye apps har blogger ke liye bahut hi helpful apps hai. Ye aaps hame jaroor apne mobile instell karna chahiye kyoki ye google adsense ka apps hai. Har blogger chahta hai ki us site par adsense ke ads lage. Jisse hame earning ho. Agar aap google adsense ko use kar rahe hai ya karege to ye app apke liye bahut helpfull hoga. Ye apps jo mobile blogger jo mobile se blogging kar rahe hai unhe bhi or jo mobile se blogging nahi kar rahe hai unhe bhi is aap ko apne mobile me rakhna chahiye. Kyoki isme ye saare feture hai.

  • Isse aap apni earning ckek kar sakte hai.
  • Aap apna cpc chek kar sakte hai.
  • Apna ctr chek kar sakte.
Or isme bahut saare feture mozood hai. Jisse apko browser open karne ki jaroorat nahi hai. Aap simple hi isme chek kar sakte ho.
jab instell ho jaye to isme apko login mage to aapko bas apne adsense acount ka id password dal kar login karna hai.
Click to download

10.Google Adwords :

Sab jante hai ki Agar hame seo redy post likhna hai to hame google adwords ko use karna hoga. Google adwords se hame keyword research karke apne post me target karna padta hai. Lekin sabse badi mobile se blogging karne baale mobile blogger ko yahi sir dard rahta hai ki mobile se adwords ko use kaise kare. Agar aap karna chahte hai to ye app best hai.
Ja aap ise first time open karege to aapko isme login karna hoga. Aapne jo gmail se adword me acount banaya tha bahi yaha daale or login karle. Lekin me salah doonga ki agar aap mobile blogger hai to aap puffin browser hi use kare isse adword ko manage karna bahut asan hai.
Click to download

11.Google Analytics :

Aap to jante hi hoge ki hamare liye visiter kitne bade god hai. Agar inhe mano to ye hamari site ke liye god jaise hai. Hame google analytics se ye neeche ki baate pata chalti hai - 
  • Hamari site par treffic kaha kaha se a raha hai.
  • Hamari site par abhi online visiter kitne hai.
  • Hamari site par visiter search engine se kitne a rahe hai.
  • Hamari site par visiter search engine se kis keyword ko search karke ye aye hai.
  • Hamare blog ka bounce rate kya hai. Hamari blog par visiter kitne time rukte hai.
  • Blog ka treffic kitna hai.
  • Blog ka treeffic kis country se ata hai.
Yese hi tool google analytics me hote hai bese sabhi feture is aap me hote hai. Aap is apps se apne blog ke treffic ko asani se manage kar sako ge.  Or jab instel ho jaye to aap ko login karna hai. Apko login karne ke liye bahi gmail se login karni hai jisse aapne google analytics par acount banaya hai. Agar aap ne acount nahi banaya hai to aap pahle acount bana le.
Click hare to download

12. Wiki Pedia :

Aap to jante hi hoge ki wiki pedia kitni badi site hai. Wiki pedia par mostly biography ke baare me content share kite jate hai. Ye aaps mobile blogger ke liye hi computer blogger ke liye bhi ye apps bahut helpful hai. Aap agar mobile se blogging karte hai or koyi aap yesa post likh rahe hai jo kisi ke biography se related post hai to aap is par search kar sakte hai. Or ye saree bashayo me uplabdh hai. Agar aap isse kuch sheekhte hai or apne blog par post karte hai to ye copy write nahi hoga.
Click hare download

13. Note Pade :

Hame blogging bahut sare work karne padte hai. Blog design, note, password,docouments, etc ko agar save karna hai to hame notepade ko use karna hoga. Note pade me bahut sare feture hote hai. Jisse apki mobile blogging or achhi ho sake. Agar aap pc use karte hai to notepade ++ pc ke liye theek hai.
Click hare to download

14. Sinium Seo Tool :

Achha blogger bahi hota hai jo seo ke baare jane or janta rahe. Agar ham achha blogger banna hai to hame seo ko janna bahut jaroori hai. Agar hame jayada treffic chahiye to seo hi yesha madhyam hai jisse hame jayada treffic mil sakta hai. Hame blogging karne ke liye seo ke bare me jaroor janna chahiye mene bahut se seo ke baare me post likhe hai unko read kijiye jaroor fayeda milega. Seo ke liye hame apnj site ko seo redy banana hoga. Agar aap ne apni site ko seo redy bana liya hai to aap sinium seo tool se apne blog ki setting chek kar sakte hai ki aapki blog seo ke baare me kitni success hai. Agar mobile se blogging karna chahte hai to aapko ye aaps jaroor use karna hoga. Iske hame koyi paise nahi dene padte hai ye ilkul free tool hai. Iske kuch feture -
Blog Rank Tool :
  • Alexa rank.
  • Moz Rank.
  • Page Authority.
Reserch Tool :
  • Broken links Finder.
  • Code to text ratio.
  • Dmoz listing.
  • Google cache
  • Link analyzer
  • Mobile friendly test
  • Page size cheker
  • Seo report card
  • Adsense calclulator
  • Serp keyword position
  • Social stats
  • Spider simulator
  • Link counter
  • Www redirect cheker
Performance Tools :

  • Gzip compresion test
  • Server status
  • Webpage speed test
  • Css minifer
  • Java script minifer
  • Html compressor
  • Image optimizer
One Page Seo :

  • Meta tag analyzer
  • Meta tag generator
  • Http headers
  • Keyword density
  • Keyword suggestion
Off Page Seo Tool :

  • Backlink cheker
  • Backlink builder
  • Search engine pinger
Blog/News Seo :

  • Artical rewriter
  • Plagiarism Cheker
  • Word counter
  • Gramer cheker
  • Word press ninja
Domain Tool :

  • Class c ip cheker
  • Dns records
  • Domain age
  • Domain authority
  • Domain availablity (bulk)
  • Domain ip look up
  • Re verse ip look up
  • Hosting provider lookup
  • Url encoder/decoder
  • Whois
Website Security Tools :

  • Avg website scan
  • Google malware scan
  • Black list look up
  • M D 5 generator
  • Url rewriting tool
Other Seo Tool :

  • Email extractor
  • My browser info
  • My ip address
  • Website worth estimate
Yese hi bahut saare tool  hai sinius seo tool me aap apni blog ka seo optimizetion aasani se kar payege. Me yahi kahu ga itne saare tool bo bhi ek sath kisi site par nahi hoge. Isiliye ye apps hamare liye, hamari blog ki seo ke liye bahu use full hai.
Click hare to download sniums seo tool

14. Word Press :

Aap to jante hi hoge aaj ke time word press kitni bado site hai. Online blog website and bisines blog website ke liye aaj ke time milion user wordpress par mozood hai. Agar word press ke baay koyi blogger platform hai to bo blogger hai jaha wordpress se bhi kam user nahj hai. Word online blog kayi topic par provide karta hai or plan ki baat kare to yaha bahut saare plan mozood hai. Ham word press par free blog bhi bana sakte hai. Lekin free blog banane se kya fayeda. Hame hosting to free me nahi milegi na. Ham word press par bina hosting ek bhi post nahi likh sakte hai. Or blog ka theem bhi change nahi kar sakte hai. 

Agar aap wordpress user hai to aapke liye ye apps bahut usefull hoga or isme loading ki bhi chinta nahi hai. Kyo ki wordpress site loading speed bahut slow hai. Is aaps me behi saare feture hai jaise wordpress ki offecial site par hai.
Sabhi jante hoge ki search engine se treffic pane ke liye post title or headings kitna use full hai. Agar hamara post title or headings user friendly nahi hogi to hame search engine se treffic nahi milega. Hame yesha post title chunna padta hai jise user search ingine me search karte hai. Lekin itna sochna hamari bas ki bat nahi hai. Agar ham yesa karte hai to ham sahi bhi ho sakte hai or galat bhi. Hame agar user friendly title headings chahiye to hame blog title generator ki help leni hogi lekin ye service free nahi hai iske liye aapko 200 rs charge karne padege. Aap chaye to onlone title heading creat kijiye jo bilkul free hai. Me iske baare me post likh chuka hu jo bahut use full hai.
Download now

Conclusion :

Jo mobile blogger hai unke liye to ye post usefull hai hi lekin computer blogger ke liye bhi use full hai. Ham agar computer se blogging karte hai or kabhi computer se post publish ya design comment reply share etc kk karne ke liye aap in mobile apps ki help le sakte hai. Or jo mobile se blogging kar rahe hai ya karna chahte hai unke liye ye post mobile se blogging karne ke liye 15 jaroori apps jaroor help full hoga or apko passand bhi aya hoga. Iskeliye share comment subscribe jaroor kare. Jay hind

    Blog Post Ke Liye Photo Kaha Se Download Kare - top Easy Way

    Ham jab blog banate hai to hamara target hota hai apni blog per achhe post likhna. Ham apne blog ke liye bahut saare idea search karte hai. Or ham us idea ko apne blog par publish karte hai. Chahe bo idea internet par bhi na ho to phir bhi hame copywrite jaise crime ka bhagi dar banna padta hai. Har new blogger ko ye pata nahi  hota hai ki blog post ke liye photo kaha se download kare or bo jald baaji me unhe galt raasto par apne kadam rakhna padta hai. Or bo iske chalte copywrite crime ke bhagee daar banna padta hai. Hame isliye ye crime ka bhagidar banna padta hai ki hame kahi se bhi apne blog post ke liye photo download kar lete hai. Or kayi blogger to google image se photo search kar lete hai or unhe download karke apne blog post me use karte hai jo bilkul bhi sef nahi hai. Agar aapko apni blog ko age le jana hai to aapko har choti se choti baat ka bhi dhayan rakhna hoga. Agar hame copywrite photo se bachna hai to hame apne blog post ke liye safe photo download karni hogi jo bilkul bhi copywrite nahi ho. Agar aap soch rahe hoge ki yeshi photo images download kaha se kare to me bata doo ki internet yeshi bahut see site hai jo 100 % nahi to 90 % photo safe provide karti hai.
    Blog-post-ke-liy-photo-kaha-se-download-kare.jpeg
    Agar aap abhitak copywrite jaisee galti karte rahe hai to use aap sudhar le kyoki yisse aap apni blogging life ko jayada dino tak nahi jee payege. Copywrite jaisa crime bahut hi dengers hai agar ek baar kisi ke uper lag gaya to aapko bahut saara loss ho sakta hai. Agar aap sochte hai ki mujhe apni blogging life ko age tak le jana hai to copywrite image se bacheeye or blogging me apni kuchh alag hi pahchan banayiye. Aap ko yese bahut se way bataunga ki copy write image se kaise bache. Post ko poora read kijiye or like comment kijiye share kijiye.

    Blog Post Ke Liye Photo Kaha Se Download Kare - Top Way.

    Mene uper bataya ki kaise hame anjaane me copywrite image crime kar sakte hai. Copywrite crime hota hai ki jab ham kisi site se uske policy rule ke khilap chalna. Agar ham samjho google image se photo downliad karte hai to socho bo image google ne to hamare liye upload to kiye nahi hogi. Google ek search engine hai. Uska kaam hai ki worlwide site se apke dubara search kiye keyword se match keyword ke conrent ko search karna. Ab aap socho ki google par ham koyi bhi trick news google me search karke padte hai. Kya te google ne thodi na post kiye hai. Ye to logo ne apni apni site par kiye hai. Google sirf content ko search karta hai unhe post nahi karta hai. Isi prakar photo bhi apni apni site par hoti hai. Google sirf search karta hai. Agar ham soch rahe ki copywrite photo se kaise bache to aapko me 10 way bata raha hu. Blog post ke liye Photo kaha se download kare.

    1. Self Create - Image Ko Khud Banaye:

    Agar hame 100% image copywrite se bach na hai to image ko self edit karne ka tareeka sabse best hai. Agar aapko photo editing atee hai to aap apne blog ke liye image creat kar sakte hai. Iskeliye aapko internet par bahut saare softwer mil jayege lekin jo me janta hu jo sabse better hai bo 
    • Photo Shop
    • Photo scap
    • Paint
    Hai. Jo mobail blogger hai unke liye 
    • Picart
    • Picsay
    Batter hai. Aap in softwer ki madda se apne blog post ke liye achhi se achhi photo edit kar sakte hai. Or iske aapke liye bahut saare fayede bhi hai.
    Fayede : apko isse bahut saara fayeda hai.
    • Ap jo image self creat karege bo 100% safe hai.
    • Apko isse bilkul bhi copywrite image ka act nahi lagega.
    • Isse aapki blogging ki duniya me alag identy banegi.
    • Agar aap apne post se related image ko online site par search karoge to bahut muskil hota hai ki bo aapko mile
    • Agar aap apne blog ke liye image create karoge to aap apne post se related image ko create kar payoge.
    Nuksaan : Apko lagta hai ki isse hame kya nuksaan hoge to isse apko bilkul bhi nuksaan nahi hoga. Jo aap photo self creat karege to apko 1% bhi nuksaan nahi hoga.

    2. Photo Ko Online Kis Site Se Download Kare.

    Aap soch rahe hoge ki agar hame online kisi site se photo ko download karna hai to use kis site se kare. Yeshi bahut shee site hai free or paid photo online provide karti hai. Aap chahe to unse download kar sakte hai lekin bo 100% secure nahi hai. Yeshi bahut see site hai jin par copywrite image ho sakti hai. Photo ko agar aap paid tareeke se download karoge to bhi bo copywrite ho sakti hai. Agar bo free tareeke se download karoge to bo bhi copywrit image ho sakti hai. Agar aap soch rahe hai ki kya kare to neeche read karo.

    3. Photo Ko Online Download Karke Use Edit Karo.

    Agar aapko koyi achhi image photo online mil jati hai to aap usko edit karna na bhoole. Mene aapko uper softwer ke baare me bataya hai. Aap unki help se image photo ko create kar sakte hai. Aap usme aapne ka logo post title text or kuch image ko us download image par add kar sakte hai jisse bo lage ki aap ne use self create kiya hai.

    4.Never Download Photos From Google Image.

    Har blogger ki sabse badi yahi galti hoti hai ki bo jald baaji me google image se apne blog post ke liye photo download kar leta hai. Jo ki 50% nahi 100% copywrite hoti hai. Apko agar image hi chahiye to aap internet ki site se download kar sakte hai. Or apne blog post me use kar sakte hai.

    Conclusion :

    Mera maanna hai ki agar aap online site se blog post ke liye photo download kar rahe hai to bo copywrite hi hai kyoki aaj ke samay bajut saari blog hai kya pata kon kon blogs par kaisi kaisi blog post me photo use ho rahi hai. Isliye me aapse bas yahi kahoonga ki aap apne blog post ke photo self creat edit kare jo 100% secure hai or apko isse labh hi hoga hani 1 % bhi nahi hogi. Iske liye aap mere bataye hue softwer se apne blog post ke liye photo edit kar sakte hai. Agar apko hamara post blog post ke liye photo kaha se download kare. Post passand aya ho to like comment share jaroor kare aapke liye neeche share botton add hai ap somple un par click karke share kar sakte hai. Agar aap mobail user hai to aapko whatsapp botton dilhraha hoga aap un par click karke whatsapp par share kar sakte hai. Thanks

    Blog Post Ko Jaldi Google Search Me Kaise Laye - Killer Tips

    Aap to jante hoge ki ham blog post ko bahut mahnat se likhte hai. Usme ham saare seo step or quality content ki tips follow karte hai. Or hamara post phir bhi google search consol me hamare post index nahi hote hai. Aap ko to pata hi hoga google hamare post jaldi index nahi karta hai. Bo hamare post ko imdex karne ke liye bahut time leta hai. Lekin iska koyi time nahi hai. Kabhi oh 24 ghante me index kar leta hai or kabhi `1 se 5 din tak lag jate hai.
    Blog Post Ko Jaldi Search Me Kaise Laye - Killer Tips.jpeg

    Ab aap socho ki ye news baale biography bale kya karte hoge. Ye live score bale kya karte hoge post ko google me ek din me laane ke liye. Inka agar hamari tarah haal hoga to sayad hi ye phir ye yesi site ko age chalaye. Ye sab kaam to hamare jaise karte hai lekin ye apne hisab se karte hai. Google ne iske liye suvida de rakhi hai. App ne apni site ko search consol me sumbit bhi kar diya hai or site map bhi lekin ab hamara kaam hai blog post ko ek din me google search me laane ka.



    Google consol me ek din apne post ko index karna koyi bada kaam nahi hai. Mera manna hai ki jo google se jaldi treeffic paana chahte hai or apne post ko jaldi se jaldi google me post ko index karana chahte hai ya jaldi se jaldi google search me apne ko lana chahte hai bo har blogger yeshi hi trick ko apnata hai.
    Some other topic post :
      Agar aap ko lagta hai ki ye namumkin hai to me aap ko bata ki yise sabhi blogger ne use kiya hai or kar rahe hai. or agar apko ye lagata hai isse hamare seo per efect padega to me aapko ye bata doo ki isse hamare seo bilkul bhi efect nahi padega. Lekin ye ki ye aapke google serch me jaroor ayege lekin ye aapke webmaster tool me index nahi hoge. Mera matlab hai ki ye google search me jaldi show hone ka tareeka hai jab tak hamare post real tareeke se apne anusar index nahi ho jate tab tak ke liye ye hamare google search me ayega or bo besha hi dikhega jaise pahle ke jamare post dikhte hai.
      Some Other Post : 
      to sabhi blogger is trick ko jaroor use kare meri asha hai ki apko haroor passand ayegi. Agar aap bhi is trick ko use karna chahte hai ise prayog karna chahte to aap hamare neeche ke step follow kare or koyi problem aye to neeche ke comment box me comment karke jaroor bataye.

      Blog Post Ko Jaldi Google Search Me Kaise Laye.

      Me aapko uper bata chuka hu ki is trick use karne me apko koyi haani nahi hai. Lekin me apko ye bata doo ki jo aap post google me jaldi index karana chahte hai to bo post google me apke pahli balo ke sath nahi ayege. jo apke post pahle se index hai unke sath iska koyi connection nahi hoga. Ye google apni isliye service banayi hai ki aapka jo post impotent hai or jisko ek din ek ghante me google serch me aana jaroori hai. uske liye hai aap url isme sumbit ho jata hai. Or bo jab tak rahta ki jab aapka bahi url real tareeke se apne google search consol me sumbit na ho jaye.

      Step 1 :

      Ab hame bahut sara jaan liya iske baare me ab ham step follow karege iske liye ham apko neeche step ke sath sath images bhi de rahe plz unko follow kare.
      google webmaster tool crawl click.jpeg
      • Sabse pahle aap apne google webmaster tool me login karo
      • Phir apni sumbit site par click karna hai
      • Ab apko Crawl Par click karna hai.
      • Ab Fetch as google par click karna hai.

      Step 2 :

      Ab ake saamne ek new page openn hoga jisme apko apni post ki permalink dalna hai. Apki pahle ki permalink yeshi hogi.

      http://www.helpertut.com/2017/03/10-killer-blogger-seo-tips.html Kuch is prakar likin apko isme se apni site ka name delet karna hai permalink ko kuch is prakar ki hogi
      2017/03/10-killer-blogger-seo-tips.html Yeshi hi permalink ko ham google search consol webmaster tool me sumbit karte hai.
      google web master tool fetch.jpeg

      • Pahle me apko Jo hamne apne post ki permalink ko edit kiya tha use yaha dale
      • Ab aap Fetch Par click kar de.

      Step 3 :

      • Ab apke saamne ek new page open hoga bo page hai apke index ka jisme apka post google me index ho gaya hai lekin abhi hame or bhi step follow karne hai.
      Ab jab apka post index ho jayega tab apke samne ek page kulega jaisi uper image hai baha apko.
      • Request indexing par cilick karna hai.
      jab aap request indexing par click karege tab apke saamne kuch yesha page open hoga.
      robottext.jpeg

      • Ab apko pahle I'm not a robot par click karna hai.
      • Crawl par click kare
      • Go par click kare
      Bas ab apka google search consol(google webmaster tool) me apka post index ho gaya hai. Ab apka post google search me  ane laga hai ab aap check karle.
      Agar apka post abhi search me nahi aa raha hai to ghabraye nahi review me thoda time lagta hai lekin jayada time nahi lagta hai. Apka post bas kuch hi minit me show hone lagega.

      Last Word :

      Mujhe asha hai ki apko ye trick jaroor passand ayi hogi or apko hamara Blog Post Ko Jaldi Search Me Kaise Laye - Killer Tips ko aapne jaroor follow kiya hoga. agar ye post apko helpfull ho to comment share jaroor kare.

      Image Ka Size Chota kaise kare (Bina Image Ki Quality Kharab Kiye).

      Hello bloggers ap bhi chahte he ki ap jo apne blog post me image use kar rahehe.Uski image ka size chota ho.Kyoki uski bajah se hamara post jaldi open nahi  hota hai.Jab ham apne post me jada badi zise ka image
      use karte he to uski bajah se hamara post open loding jada ho jati he.Agar hamara post load bhi ho jata he to image bahut time leti  hai load hone me. Jiski bajah se hamare visiter ko  kafi problem ka samna karna padta he or iski bajah se hamare seo par efect padta hai. Kabhi kabhi jab kahi server low hote hai to hamara image sow hi nahi hota.
      image ka size chota kaise kare

      Apko me bahut hi asan tareeka batunga jiski madad se hamare image ka size bahut hi kam kar sakte hai. Ap is post ko full read kare or soicial media par jaroor share kare.


      Image Ka Size Chota Kaise Kare ?

      Image ka size chota karna bahut hi aan hai. Ham apko online image ka size karna shikhayege bo bhi bahut hi asaan tareeke se. Sabse pahle ap compressnow.com par jaye. Phir apke samne ek page open hoga jisme 
      apko image upload karna hai. Phir compress image par click kare.
      Compress image par click karte hee. Apki image compress ho chuki hai. agar apko image ka size pasand na aye to image compression lavel slide se kar sakte hai phir neeche download button par click kare
      Ab apki image ka size chota hone ke sath sath Download bhi ho chuki hai. Hamara ye post kaisa laga hame neche comment karke jaroor bataye.